Tuesday, January 13, 2009

EK DIN DEKHA JAB EK SAPNA

ek din dekha maine jab ek sapna
pankh laga ke main..to bas udd chala..
taro ke barat me ghooma,phoolo ke mehfile me jhooma..
luka -chippi khelte..badlo ko bhi dekha...
pankho..sang main dahrti or ambar ke beech dola..
indradhanuhiay rango me ..dooba..
dekha main dekha jab ek sapna...
pankh laga ke maine to bas udd chala

sapna ka mano, bas itna jano
neeche aane ke phele jab socha...
chahto ko pura karne apni ..uncha main to uncha bas udd chala..
dekha maine dekha jab ek sapna.
pankh laga ke main to bas udd chala..

pariyoo se bhi mila..kitni thi mat poocho bhala..
tumko dekha to ..laga..bin pankh hoon main udd raha...
baate thi karni itni saari..par kahai ..na paya kuch bhi zara..
sach ..tha ya sapna tha jo bhi tha apna tha..
dekha maine dekha jab ek sapna
pankh laga ke main to bas udd chala...

sapne ko main sach kar dekhayoo..
har abhilasha sang jee jaoo..
asha ki kirno sang..nayi umeedo ko jagaoo..
bandhan tod ..bas udta udta ..chala jao..

dekha jab maine ek sapna..

No comments:

Beautiful Home

This idea was good, with step by step move, and Hand full with amazing Hilti tools, EBB’s execution turned  idea into something meaninful, E...